Monday, February 4, 2008

Chandan hain ise desh ki maati....


Chandan hain is desh ki maati,
tapobhoomi har graam hian,
har baala devi ki pratima,
baccha baccha ram hian,
chandan hain ise......
Har shareer mandir sa paawan,
har maanav upkaari hain,
jahaan sinh ban gaye khiloune,
gaay jahaan maa pyaari hain,
jahan savera sankh bajata ,
lori gaati shaam hain,
har baala devi........!!!
jahaan karma se bhagya badalata,
shram- nishtha kalyaani hain,
tyaag aur tap ki gaathayein,
gaati kavi ki vaani hain,
gyaan yahaan ka ganga jal sa,
nirmal hain aviraam hain,
har bala devi ki pratima.....!!!!
jisake sainik samar bhoomi main,
gaaya karte geeta hain,
jahaan khet main hal ke neeche ,
khela karti seeta hain,
jeevan ka adarsh yahaan par,
parmeshwar ka dhaam hain...
har baala devi ki pratima ..baccha baccha raam hain....
chandan hain ise desh ki maati.......!!!!

No comments: