Sunday, February 10, 2008

Kuch To Standard Banao....Kaka Hathrasi


prakriti badalati kshan kshan dekho,
badal rahe anu,kan-kan dekho,
tum nishkriya se pade hue ho,
bhagyawaad par ade hue ho!!

Chodo mitra!! purani dafali,
jeevan main parivartan lao,
parampara se oopar uth kar,
kuch to standard banao!!

jab tak ghar main dhan- sampati ho,
bane raho priya agyakaari,
padho- likho shaadi karwalo,
fir maano yeh baat hamari!!

mata-pita se kaat connection,
apana darba alag basao,
kuch to standard banao!!

karo prarthana, he prabhu,
paise ki hain sakht jaroorat,
artha samasya hal ho jaye,
shighra nikalo aisi surat!!

hindi ke himayati banakar,
sansthaon se neh jodiye,
kintu aapasi baat-cheet main,
angreji ki taang todiye!!

ise prayogvaad kahate hain,
samjho gahrayee main jao,
kuch to standard banao!!

kavi banane ki iccha ho to,
yah bhi kala bahut mamuli,
nuskha batata hun, likh lo,
kavita kya hain gaajar-mooli!!

kosh khol ke rakh lo aage,
klishta shabd usamein se chun lo,
un shabdon ka jaal bicha kar,
chahe jaisi kavita bun lo!!

shrota jisaka artha samajh le,
wah to tukbandi hain bhai,
jise swayam kavi na samajh paye,
wah kavita hain sabse high!!

isi yukti se bano mahakavi,
use "nayee kavita: batlao,
kuch to standard banao!!

chalate chalate main road par,
filmi gaane gaa sakate ho,
chourahe par khade khade tum,
chaat pakodi kha sakte ho!!

badhe chalo unnati ke path par,
rok sake kisaka bal boota?
yon prashidhha ho jao jaise,
bharat main bata ka joota!!

nayee sabhyata sanskriti ke,
nit chamatkaar dikhlao,
kuch to standard banao!!

picnic ka jab mood bane to,
tajmahal par ja sakate ho,
sharad poornima dikhlane ko,
"unhein" saath le ja sakate ho!!

vo dekhein jab samay chandrama,
tab tum nirakho sudhar chandini,
fir donon mil karke gao,
madhur swaron main madhur ragini!!
(tu mera chand main teri chandini)

aloo- chola coca cola,
"unka" bhog laga kar pao,
kuch to standard banao!!

1 comment:

Anonymous said...

veryyyy...mindblowing ,houmrous
& lovely poem.....:)))))