Sunday, February 10, 2008

Idhar Bhi Gadhe Hain, Udhar Bhi Gadhe Hain.....Om Prakash Aditya


Idhar bhi gadhe hain,udhar bhi gadhe hain,
jidhar dekhata hun, gadhe hi gadhe hain,

gadhe hans rahe, aadami ro raha hain,
hindostan main yeh kya ho raha hian?

jawani ka aalam gadhon ke liye hain,
yeh rasiya, yeh baalam gadhon ke liye hain,

yeh dilli, yeh paalam gadhon ke liye hain,
yeh sansaar saalam gadhon ke liye hain,

tu pilaye ja saaki,pilaye ja dat ke,
tu whisky ke matake pe matake pe matke,

main duniya ko ab bhoolana chahata hun,
gadhon ki tarah ab jhoomana chahata hun,

ghodon ko milati nahin ghaas dekho,
gadhe kha rahe chyavanprash hain dekho,

yahaan aadami ki kahaan kab bani hain,
yeh duniya to gadhon ke liye hi bani hian,

jo galiyon main dole, wo kaccha gadha hian,
jo kothe pe bole wo saccha gadha hain,

jo keton main dikhe wo fasali gadha hain,
jo muke par cheekhe wo asli gadha hain,

main kya kah gaya hun, yeh kya kah gaya hun,
nashe ki pinak main kahaan bah gaya hun,

mujhe maaf karana main bhataka hua tha,
wo tharra tha, bheetar jo atka hua tha!!

3 comments:

Anonymous said...

aisa lagata hai maine aapki kavita pehle bhi padhi hai ya shayad ye khayal kuch jyada hi aam ho gaya hai
aapki kavita kisi kitaab ya akhbar me chap chuki hai aisa jaan padta hai
bahut hi khub

pooja said...

wah wah!!!!
bahut badiya........

Atul Kumar said...

when was this poem first published/written, can you please tell?